Valentine’s Day khatam hua, cards, phool, gifts exchange ho gaye, ishq ka izhar, restaurants mein, bageechon mein aur kuch ishq dushmanon key lath aur gali galauj mein ho gaya.
Ahmad Faraz ki ek nazm padhi, phir socha parindon ka ishq bhi to aisa hi hota hai. Miley, baithe, sath rahe, khana share kiya, gana gaya aur kuch waqt baad, tu kaun main Khwamkha.
So ek roz kya hua
vafa pe bahas chhid gayi
main ishq ko amar kahun
vo meri zid se chid gayi
main ishq ka asir thaa
vo ishq ko qafas kahe
ki umr bhar ke saath ko
vo bad-tar-az-havas kahe
shajar hajar nahin ki ham
hamesha pa-ba-gil rahein
na dhor hain ki rasiyan
gale mein mustaqil rahein – Ahmad Faraz
सो एक रोज़ क्या हुआ
वफ़ा पे बहस छिड़ गई
मैं इश्क़ को अमर कहूँ
वो मेरी ज़िद से चिड़ गई
मैं इश्क़ का असीर था
वो इश्क़ को क़फ़स कहे
कि उम्र भर के साथ को
वो बद-तर-अज़-हवस कहे
शजर हजर नहीं कि हम
हमेशा पा-ब-गिल रहें
न ढोर हैं कि रस्सियाँ
गले में मुस्तक़िल रहें – अहमद फ़राज़







Photographs and text by Prerna Jain.
